Kalam-e-Raazi (Part – 1 Hindi)

Author – Rishon Raazi
Published By – Saptrishi Publications
Subject – Shayari

Likhte hai kitabein Raazi log hazaro dunia mein, maine bhi aisa kuch khas nahi likha.!
ishq mohabbat judai hi likhi hai, lekin aisi likhi hai jo kisi kitab mein pehle nahi dikha.!

kuch dunia ki baatein hai,
kuch akelepan ki raatein hai,
kuch bemausam barsatein hai,
kuch anginat saugatein hai.!

khawab pure karne ki raah pe chala hu, mushkilein bhi beshumar hongi.!
tarif bhi hogi gaaliyan bhi hogi, or vahi gaaliyan 1 din kile ka munar hongi.!

suna hai koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti,
manzil mile na mile lekin zindgi unki udhaar nahi hoti.!
nikhar hi jaate hai aksar vo bikharte bikharte,
kyun ki koshish mein harne walon ki haar har baar nahi hoti.!

koi tazurba nhi hai Raazi jazbaton ko alfazon mein parone ka,
kisi ke liye kitab bohat khas niklegi, to kisi ko fark hi nahi padhega iske hone na-hone ka.!

— Rishon Raazi —

50.00